dua kisi ki kare ya na mustajab kare magar tu chahe to zarre ko aaftab kare gunah bhi jo kare rashk-e-sad-sawab kare jo narawa ho use bhi rawa shabab kare meri nazar ki jise chahe be-naqab kare khuda wo din to dikhae jo tu hijab kare mera ye kaam ki meri talab musalsal sidq tera ye kaam ki jab chahe kaamyab kare na khauf-e-pursish-e-mahshar na fikr-e-roz-e-hisab bashar gunah par aae to be-hisab kare khirad se ban na padi kuchh to kah diya dil se khuda tujhe tere maqsad mein kaamyab kare 'sahar' ko tauba se inkar to nahin lekin nigah-e-mast agar mail-e-sharab kare