kahin aah ban ke lab par tera nam aa na jae tujhe bewafa kahun main wo maqam aa na jae zara zulf ko sambhaalo mera dil dhadak raha hai koi aur tair-e-dil tah-e-dam aa na jae jise sun ke tut jae mera aarzu bhara dil teri anjuman se mujh ko wo payam aa na jae wo jo manzilon pe la kar kisi ham-safar ko luten unhin rahzanon mein tera kahin nam aa na jae isi fikr mein hain ghaltan ye nizam-e-zar ke bande jo tamam-e-zindagi hai wo nizam aa na jae ye mah o nujum hans len mere aansuon pe 'jalib' mera mahtab jab tak lab-e-baam aa na jae