qalam mein ashk bhar kar likh rahi hun dard kaghaz par bikhere ja rahi hun hasraton ko sard kaghaz par tadap aurat ke dil ki sirf ek aurat samajhti hai bas apni khwahishon ko likh rahe hain mard kaghaz par chalo mana ki kah lene se dukh halka hi hota hai magar kuchh hi palon mein itna sara dard kaghaz par yunhi bas aaj main ne ek purani diary kholi jami thi kab se yaadon ki purani gard kaghaz par nisai karb likhne ka hunar hum ko hi aata hai hukumat apni sabit kar rahe hain mard kaghaz par tabhi ja kar ghazal ko ek nae paikar mein dhaala hai lahu ki surkh bunden jab giri hai zard kaghaz par nami se gal bhi sakte hain sharar se jal bhi sakte hain bharosa kar rahi hain kyon 'siya' be-dard kaghaz par