kahin bhi jao magar dil ke aas-pas raho

kahin bhi jao magar dil ke aas-pas raho
sukun ban ke raho zindagi ki aas raho

mile jo waqt to wada kabhi nibha dena
ye kab kaha hai hamesha wafa-shanas raho

mita den fasla jo kuchh bhi hum mein tum mein hai
main chahti hun meri dhadkanon ki sans raho

ujadne do na gulistan ko khizan mein bhi tum
saba ke sath raho gul ki bu-o-bas raho

ziyaada qurbaten ban jaen kahin wajh-e-firaq
na itne dur raho aur na itne pas raho

wo roz-o-shab jo musibat ke the hue kafur
ki mere hote hue tum na bad-hawas raho

kiya hai tum ne 'munawwar' kisi ka khana-e-dil
ye kya sitam hai ki tum ru-e-iltimas raho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close