ta-umr safar kar ke ye hum ne kamaya hai do qatre hain shabnam ke ek dhup ka tukda hai bakhshe hain muqaddar ne hum ko jo sitare do ek mahr ka partaw hai ek chand ka saya hai ulfat ho ki nafrat ho taswir ke do rukh hain dam todti ulfat ne nafrat ko jagaya hai khushiyan na sahi gham hi apna hi tha kahne ko ab ye bhi bharam tuta sahra hai na saya hai