kahin bhi maqam-e-sada-e-lab nahin aa saka main teri sada-e-nigah pe kab nahin aa saka tere hijr tere visal apne khayal mein kisi aaine mein main sab ka sab nahin aa saka tere qurb mein mujhe maut yaad nahin rahi wo sahar hui ki khayal-e-shab nahin aa saka jo tamam umr raha sabab ki talash mein wo teri nigah mein be-sabab nahin aa saka hui aise saya-e-rang mein meri tarbiyat kabhi koi waswasa-e-tarab nahin aa saka ye meri mata-e-giran hawa mein bikhar gai mujhe apne soz-e-nihan ka dhab nahin aa saka