kal main inhi raston se guzra to bahut roya sochi hui baaton ko socha to bahut roya dil mera har ek shai ko aaina samajhta hai dhalte hue suraj ko dekha to bahut roya jo shakhs na roya tha tapti hui rahon mein diwar ke sae mein baitha to bahut roya aasan to nahin apni hasti se guzar jaana utra jo samundar mein dariya to bahut roya jis mauj se ubhra tha us mauj pe kya guzri sahra mein wo baadal ka tukda to bahut roya hum teri tabiat ko 'khurshid' nahin samjhe patthar nazar aata tha roya to bahut roya