kahin bhi rang-o-bu baqi nahin hai chaman ki aabru baqi nahin hai talab ki kaun si manzil hai yaro kisi ki justuju baqi nahin hai tumhein chaha tumhein socha hai itna tumhaari aarzu baqi nahin hai sitam sah kar bhi tum khamosh kyon ho ragon mein kya lahu baqi nahin hai 'majid' ab samna hai doston ka yahan koi adu baqi nahin hai