kahin bhi saya nahin kis taraf chale koi darakht kat gaya hai hare-bhare koi ajib rut hai zaban zaiqe se hai mahrum tamam shahr hi chup ho to kya kare koi hamare shahr mein hai wo gurez ka aalam charag bhi na jalae charag se koi ye zindagi hai safar munjamid samundar ka wahin pe shaq ho zamin jis jagah ruke koi palat kar aa nahin sakte gae hue lamhe tamam umr bhi ab jagta rahe koi misal-e-aks muqayyad hisar-e-zat mein hun wo mauj hun jise rasta na mil sake koi phir is ke baad bikhar jaun ret ki surat bas ek bar mujhe tut kar mile koi huzur-e-husn ye dil kasa-e-gadai hai hun wo faqir jise bhik bhi na de koi sawal us ne bhi koi nahin kiya 'shahzad' jawab ban na pade jis ke samne koi