jis ko jaisa bhi hai darkar use waisa mil jae tu mayassar ho mujhe aur tujhe duniya mil jae sang se sang ke takrane ka manzar dekhun kabhi aisa ho ki tujh ko koi tujh sa mil jae ye dhadakta hua dil us ke hawale kar dun ek bhi shakhs agar shahr mein zinda mil jae sakht sardi mein thithurti hai bahut ruh meri jism-e-yar aa ki bechaari ko sahaara mil jae shahr ki bhid mujhe tera bulawa manzur shart ye hai mera khoya hua sahra mil jae tu khuda hai to mujhe kufr mein mustahkam kar ki mujhe raaz-e-sanam-khana-e-duniya mil jae hum to bas dhup ki shiddat mein kami chahte hain kab kaha hai ki kahin rah mein saya mil jae apne aaina-e-tauhid mein allah-miyan dekhte rahiye koi aap hi jaisa mil jae fasl-e-sher aai hai bazar-e-sukhan mein dekh aao farhat-ehsas bhi shayad koi taza mil jae