kahin bhi wafa ki nishani nahin hai yazidon ki basti hai pani nahin hai jo tujh se bichhad kar jiye ja rahe hain wo ek qarz hai zindagani nahin hai meri himmaton ko dubona hai mushkil samundar mein ab itna pani nahin hai hamesha hamesha jawan hi rahega mera dil hai teri jawani nahin hai zara ghaur se suniye haalat mere fasana nahin hai kahani nahin hai ajab in dinon haal hai mere dil ka bahaaron ki rut bhi suhani nahin hai sambhal kar zara 'nur' sahab sambhal kar chamakte gilason mein pani nahin hai