kahan ho kaun ho kya ho hamein batao to

kahan ho kaun ho kya ho hamein batao to
nikal ke parda-e-dair-o-haram se aao to

andhera phir na rahega diye jalao to
rukh-e-hayat se ek ek naqab uthao to

main apne jazb-e-mohabbat ka imtihan le lun
kuchh aur meri nigahon se dur jao to

zamana ho gaya chhaya hai gulistan pe jumud
chaman-parasto naya gul koi khilao to

ujale sina-e-zulmat hi se niklenge
charagh-e-amn-o-mohabbat zara jalao to

qadam qadam pe banaunga ek shish-mahal
tum apne shahar mein mujh ko kabhi bulao to

zaban pe hoga tumhaari bhi shikwa-e-duniya
hamari tarah zara tum bhi chot khao to

jhukega ek zamana tumhaare qadmon par
khuda ke samne ai 'nur' sar jhukao to


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close