kahin charaghon ko nind aae kahin pe rabt-e-hijab tute kisi ki aankhon ki jage qismat kisi ka band-e-naqab tute tumhaari aankhon ke samne hi hamari aankhon ka khwab tute faza ki rangin titliyon ki nazar se shakh-e-gulab tute dayar-e-shab ke the sab musafir sukut-e-shab to sabhi ne toda to muntakhab ek hami hon kahe hami pe kyon ye azab tute na kar jabin-e-khiyam zakhmi na sah azabon ki dhup sar pe na kar hawaon ki parwarish yun ki zor-awar tanab tute wo jis ki mitti mein pal rahe the shagufe amn-o-aman ke logo usi pe barsa lahu ka baadal usi pe sare azab tute 'asad' ghataen ye tirgi ki tabhi chhatengi ki jab falak par kisi ke mathe ka chand chamke kisi nazar ka shahab tute