bujhe bujhe se hain shair ke zehn-o-dil ke diye bhatak raha hai kahan jae raushni ke liye rawish rawish pe darakhshan hai barq-e-khauf-o-hiras jhulas rahe hain dar-o-baam jazba-o-ehsas nazar udas hai viran hain sare nazzare jabin-e-subh se phute lahu ke fawware zamin pe lashon ke gulshan mein khun ki nami ab ehtimam-e-bahaar-e-chaman mein kya hai kami jamal-e-subh-e-watan aansoon mein mudgham hai urus-e-fasl bahaaran ki aankh pur-nam hai ba-faiz-e-jabr-o-sitam gham ne fath pai hai wafa ke nam pe dil ne shikast khai hai shiar-e-dida-wari se gulon ke shad nahin chaman ke phul chaman hain ye un ko yaad nahin sitam ko ahl-e-hawas bhi sitam samajhte hain ye aur baat hai shoalon ko phul kahte hain simatti raat ke sae sahar ki rah mein hain hum aur chand ghadi zulm ki panah mein hain