kahin diwar hai to dar ghaeb

kahin diwar hai to dar ghaeb
aur kahin par hamara ghar ghaeb

ham-safar hai kahin safar ghaeb
hai safar gar to ham-safar ghaeb

ai khuda kaun sa tilism hai ye
jism maujud hain ye sar ghaeb

shauq-e-parwaz hai sabhi mein magar
tairan-e-chaman ke par ghaeb

aasman bhi nahin raha sar par
us pe panw se hai safar ghaeb

main bhi bai'at karun ba-dast-e-hunar
dard-e-dil ko jigar se kar ghaeb

mujh pe padti nahin koi bhi nazar
main bhi mahfil mein hun magar ghaeb

tum raho aankh mein to behtar hai
dur hon gar to bahr-o-bar ghaeb

ya to maujud hi nahin wo raha
ya koi aankh se nazar ghaeb

ishq ke baam par wo hai maujud
kasa-e-sham se qamar ghaeb

qaht kaisa pada hai ab ke baras
dast-e-fan-kar se hunar ghaeb

samne manzilen sabhi madum
mud ke dekhun to chaaragar ghaeb

zakhm 'tahir-adim' kaise bhare
har dawa se hua asar ghaeb


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close