kisi khamosh chehre par wo itminan ka manzar jigar ko katta hai ab bhi qabristan ka manzar azab-e-shiddat-e-karb-e-judai ko wo kya jaane ki dekha hi na ho jis ne nikalti jaan ka manzar uthi kursi kata sabza gire patte udi chidiyan tumhaare baad kya se kya hua dalan ka manzar kahan hun kaun hun ye puchhta phirta hun logon se ki mujh se kho gaya shayad meri pahchan ka manzar darida-naqsh zakhmi lafz larzida qataron mein lahu mein kis ne ranga hai mere diwan ka manzar hamare qatl par chashm-e-falak mein khun utrega fazaon mein sajega surkh se tufan ka manzar naha ke pyar ki barish mein us ne dhup jab pahni nazar mein ghul gaya qaus-e-quzah ke than ka manzar darun-e-zehn jab zebaish-e-afkar hi na ho gharon mein kya hai phir aaraish-e-saman ka manzar wo jitne dip andar hain wo aankhon mein hi jalte hain aur aankhen hi dikhati hain dil-e-viran ka manzar samajhta hun teri sari kahani main ki kya hogi hai dikhne mein agar aisa tere unwan ka manzar bhari duniya ka 'tahir' chappa chappa chhan mara hai nahin paya kahin bhi shahr-e-pakistan ka manzar