kahin jaise main koi chiz rakh kar bhul jata hun pahan leta hun jab dastar to sar bhul jata hun wagarna to mujhe sab yaad rahta hai siwa is ke kahan hun kaun hun kyun hun main akasr bhul jata hun mere is haal se gumrah ho jate hain rahbar bhi main akasr raste mein apna hi ghar bhul jata hun dikhata phir raha hun sab ko apne zakhm-e-sar lekin mere hathon mein bhi hai ek patthar bhul jata hun nikal jata hun khud apne hisar-e-zat se bahar main akasr panw phailane mein chadar bhul jata hun kabhi jab sochne lagta hun pas-e-manzar ke bare mein to mere samne ho koi manzar bhul jata hun kabhi to itna badh jati hai meri pyas ki shiddat mere chaaron taraf hai ek samundar bhul jata hun