kahin jalti apni hi aanch se kahin khushbuon mein bhari hui koi shakh-e-gul thi ki aag thi mere bazuon mein bhari hui wo tilismi raat abhi talak mere jism o jaan pe muhit hai wo jo raat utri thi arsh se tere jaduon mein bhari hui tere chashm o lab ki shabahaten mujhe roz o shab milen bagh mein kahin titliyon pe likhi hui kahin jugnuon mein bhari hui mujhe sair-e-gul ki kisi rawish pe mili nahin hai misal bhi koi be-misal si mushk thi tere gesuon mein bhari hui tu chala gaya hai to shahr phir wahi dasht-e-gham hai mere liye wahi main hun aur meri zindagi mere aansuon mein bhari hui