kahin jaun talluq ka sitara chalta rahta hai mere hamrah ye kis ka ishaara chalta rahta hai basirat kho gai lekin tawaqqoa hai bashaarat ki kisi ke nam ka ab bhi sahaara chalta rahta hai ab ek qatra bhi dil ki jhil mein pani nahin rahta magar kya kijiye tab bhi shikara chalta rahta hai kahan tum aarzuon ki haweli dhundne nikle yahan to be-panahi mein guzara chalta rahta hai hum apne doston par naz kuchh yunhi nahin karte ki zikr-e-khair ho ya bad hamara chalta rahta hai kaleja hai to maidan-e-amal mein aa kitaben likh adab ke kaam mein pyare khasara chalta rahta hai kabhi aao to dikhlaen karishma tum ko dariya ka ki maujen munjamid hain aur kinara chalta rahta hai