jo ek pal ko bujhe bazm-e-rang-o-bu ke charagh to hum ne dar pe raushan kiye lahu ke charagh hawa-e-tira-nasab kya bujha sakegi unhen ki aandhiyon mein bhi jalte hain aarzu ke charagh ada-e-mausam-e-gul ka kamal kya kahiye kali kali se farozan hue numu ke charagh bujhi jo subh to sinon mein dil jalae gae hui jo sham to raushan hue subu ke charagh ye naqsh-e-pa hain mere ya sawad-e-manzil tak qadam qadam pe numayan hain justuju ke charagh kabhi kabhi to 'ziya' wo bhi waqt aata hai bujhane padte hain khud apni aarzu ke charagh