kahin kahin se pur-asrar ho liya jae ki apne haq mein bhi hamwar ho liya jae wo jis ne zakhm lagae rakhega marham bhi usi ka dil se taraf-dar ho liya jae yahi hai nind ka mansha ki khwab-e-ghaflat se sahih waqt pe bedar ho liya jae girah-kushai-e-mauj-e-nafas bahana hai ki is bahane se us par ho liya jae kisi ki rah mein aane ki ye bhi surat hai ki saya ke liye diwar ho liya jae