siskiyon hichkiyon aahon ki farawani mein uljhanen kitni hain is ishq ki aasani mein ye tere baalon ka talab ki tah ko chhuna haalat-e-khwab mein ya aalam-e-uryani mein be-hijabana kisi lahr ka tujh tak aana phir tere jism ka bah jaana ghane pani mein kahkashaon ka ghazalon ka ghazal-zadon ka dur-o-nazdik se aana teri mehmani mein raat ka jhukna teri pusht pe dildari ko bagh ke pedon ka aa jaana rajaz-khwani mein baam-o-dar dekhte jate hain khade sakte mein ek sitare ka tawarud teri peshani mein marmarin ungliyan ek dil pe likhen haal-e-hina phul aawaz ka khil jae pashemani mein chand makhruti ubhaaron pe shuaen phenke is qadar mahw tujhe dekh ke hairani mein saya-e-sabit-o-sayyar ke haale mein chalun aur jahanon mein rahun teri nigahbani mein