kahin KHud ro na paDna mujhko giryan dekhne wale

kahin khud ro na padna mujh ko giryan dekhne wale
kabhi tufan mein bah jate hain tufan dekhne wale

nasheman phunk kar khush hain charaghan dekhne wale
lapat mein aah-e-sozan ki gulistan dekhne wale

main kis ka aks hun main kis ki surat ka hun aaina
agar dekhen mujhe ba-chashm-e-hairan dekhne wale

ziya-e-kaukab-e-taqdir se tashbih dete hain
teri peshani-e-khanda pe afshan dekhne wale

jo zahir hai wahi baatin jo baatin hai wahi zahir
mujhe dekhen mera chaak-e-gareban dekhne wale

tumhein arsh-e-barin par dekh kar hairan-o-shashdar hain
hawa ke dosh par takht-e-sulaiman dekhne wale

mujhe us anjuman ki justuju muddat se hai 'anwar'
jahan rahte hon insanon ko insan dekhne wale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close