ishq ki aasudgi ko aur kya darkar tha

ishq ki aasudgi ko aur kya darkar tha
gesuon ki chhanw thi ya saya-e-diwar tha

dar-haqiqat wo qarib-e-jalwa-gah-e-yar tha
jis ki aankhon mein mazaq-e-hasrat-e-didar tha

aaj wo kyon kha raha hai dar-ba-dar ki thokaren
takht-e-alam ka jo kal tak malik-o-mukhtar tha

mawara-e-aish tha jab aadamiyyat ka wajud
kis qadar be-dagh wo aaina-e-kirdar tha

zauq-e-nazzara ki quwwat salb ho kar rah gai
jalwa-gah-e-naz par kya parda-e-asrar tha

ta-qayamat jis ke naqsh-e-pa rahenge zau-fishan
fakhr hai hum ko wo apna qafila-salar tha

maghfirat farmae maula 'sadiq'-e-marhum ki
wo mera ustad 'anwar' ek bada fankar tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close