kahin log tanha kahin ghar akele kahan tak main dekhun ye manzar akele gali mein hawaon ki sargoshiyan hain gharon mein magar sab sanobar akele numaish hazaron nigahon ne dekhi magar phul pahle se badh kar akele ab ek tir bhi ho liya sath warna parinda chala tha safar par akele jo dekho to ek lahar mein ja rahe hain jo socho to sare shanawar akele teri yaad ki barf-bari ka mausam sulagta raha dil ke andar akele irada tha ji lunga tujh se bichhad kar guzarta nahin ek december akele zamane se 'qasir' khafa to nahin hain ki dekhe gae hain wo aksar akele
Please share if you liked this!!!