kahin maghz uske main subh-dam teri bu-e-zulf-e-rasa gai

kahin maghz us ke main subh-dam teri bu-e-zulf-e-rasa gai
tere kuche se jo chaman talak gul udati khak-e-saba gai

maraz ek jahan se nirala tha meri jaan tere mariz ka
na hua kisi se ilaj jab ajal us ki karne dawa gai

gharaz is nibah ke sadqe mein gharaz aisi chah ke sadqe mein
na tera hi jaur-o-jafa gaya na meri hi mehr-o-wafa gai

ye bahaar howegi sab khizan na saman na lala na arghawan
dam-e-garm ki mere dostan kabhu bagh mein jo hawa gai

jo fida-e-surat-e-khub hain unhen tab kahunga ki dekhiye
koi shakl apni hi chashm mein kabhu sair karti jo aa gai

main hua ba-khak-e-siyah-faro tere kuche mein ba-sad-arzu
raha sharmgin hi hamesha tu teri ab talak na haya gai

sar uthaun kyunke main 'mushafi' nahin mujh mein tab-o-tawan zari
ki khiram us but-e-shokh ki mujhe khak hi mein mila gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close