ya-rab kahan gaya hai wo sarw-e-shokh-rana hai chob-e-khushk jis bin meri nazar mein tuba didar de shitabi jalne ki tab nin hai is hijr ki agan sin dozakh ki aag aula tauq-e-gulu-e-dil hai zulf-e-sanam ka har kham mashhur ye masal hai yak sar hazar sauda hai khatm yar-e-jaani tere dahan ki tangi kahne ki baat nin hai barik hai muamma ai gul-badan nazar kar dagh-e-jigar kun mere gar aarzu hai tujh kun gulzar ka tamasha maskan hua hai mera jab sin teri gali mein ai gul-ezar tab sin jannat ki nin tamanna hai ai 'siraj' har shab mahtab-ru ke gham mein aansu ka mere jhamka jyun khosha-e-surayya