kahin na phir koi dar-o-rasan se saz kare

kahin na phir koi dar-o-rasan se saz kare
khuda kisi ko na aab aashna-e-raaz kare

kahan tak aadmi hil-e-khirad se saz kare
faza-e-dahr ko allah junun-nawaz kare

na puchh martaba us ke maqam-e-ali ka
jise wo fikr-e-do-alam se be-niyaz kare

haqiqaton ki tajalli bhi paega us mein
jo ru-ba-ru koi aaina-e-majaz kare

nahin hai pukhta abhi zauq-e-bandagi us ka
hudud-e-dair-o-haram mein jo imtiyaz kare

har ek sans mein sunta hai naghma-e-lahut
wo jis ko gosh-bar-awaz-e-nai-nawaz kare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close