rafta rafta jazb-e-ulfat mein kamal aa hi gaya hijr ke parde se paigham-e-visal aa hi gaya iztirab-e-dil ba-shakl-e-raaz aakhir ta-ba-ke tishna-e-didar ke lab par sawal aa hi gaya mere dast-e-arzu mein lakh nakaami pe bhi wo nahin to un ka daman-e-khayal aa hi gaya ye to ab tak phunk deta hasti-e-kaunain ko wo to kahiye ishq mein kuchh e'tidal aa hi gaya phut hi nikli rag-e-sauda se tanwir-e-junun zarre zarre mein bayaban ke jamal aa hi gaya naqsh dhundle ho chuke hain sanehat-e-zist ke jaane kya dekha ki phir un ka khayal aa hi gaya sar pe sauda-e-mohabbat pa-ba-zanjir-e-junun tere dar par 'wahshi'-e-ashufta-haal aa hi gaya