kahin na tha wo dariya jis ka sahil tha main aankh khuli to ek sahra ke muqabil tha main hasil kar ke tujh ko ab sharminda sa hun tha ek waqt ki sach-much tere qabil tha main kis ehsas-e-jurm ki sab karte hain tawaqqo ek kirdar kiya tha jis mein qatil tha main kaun tha wo jis ne ye haal kiya hai mera kis ko itni aasani se hasil tha main sari tawajjoh dushman par markuz thi meri apni taraf se to bilkul hi ghafil tha main jin par main thoda sa bhi aasan hua hun wahi bata sakte hain kitna mushkil tha main nind nahin aati thi sazish ke dhadke mein fateh ho kar bhi kis darja buzdil tha main ghar mein khud ko qaid to main ne aaj kiya hai tab bhi tanha tha jab mahfil mahfil tha main