ye kaisa shahr hai main kis ajaib-ghar mein rahta hun main kis ki aankh ka pani hun kis patthar mein rahta hun wo khushbu is talluq se bahut bechain si hogi main kanta tha magar ek phul ke bistar mein rahta hun use ek din yahi khana-badoshi khud bataegi main apne ghar mein rahta hun ki us ke ghar mein rahta hun agar mohlat mile to qatilan-e-shahr se puchhun main kis ki jaan hun kyun sina-e-khanjar mein rahta hun mujhe ye be-panahi kab tera rasta dikhaegi teri aawaz hun aur gumbad-e-be-dar mein rahta hun ye sab khush-posh chehre ho chuke hain munkashif mujh par main un ke darmiyan kyun jama-e-mahshar mein rahta hun khudi kya chiz hai 'khurshid-akbar' aur khuda kya hai kahun main kis zaban se dast-e-ahan-gar mein rahta hun