kahin nahin hain aahaten na tera intizar hai magar wahin hai ek khalish jo dil mein barqarar hai na tohmaten na bughz hai na hi gila bhi hai koi magar sawal lakh hain bahut hi intishaar hai na mil sake qarib se na hi juda hue kabhi har ek chiz na-tamam gham hai ya khumar hai dua nahin qubul ki to rahmaten nawazishen abhi purani neamaton se qalb tar tar hai mila bhi aur mila nahin tu ek khwab sa mila na chhu saki na kah saki jo haal aashkar hai nasha nahin junun nahin na hi koi futur hai magar main is ko kya kahun ki sar pe jo sawar hai hai sham ka wahi pahar wahi jagah wahi dagar baghair ek shakhs ke koi alag dayar hai