kahin nigah kahin lab kahin zaban hoga ghazal kaho na kaho ishq to bayan hoga hudud-e-dard ke aage na kaenat na zat kahin zamin na hogi to aasman hoga badal ke rakh de jo taqdir-e-sang-o-khisht ek din na jaane kaun se ghar mein wo gham jawan hoga haram mein dair mein maikhane mein kharabe mein jahan bhi jaiye ek shakhs darmiyan hoga wo ek baat ki darte hain un se kahte hue us ek baat ka charcha kahan-kahan hoga