kahin pahuncho bhi mujh be-pa-o-sar tak ki pahuncha shama-san dagh ab jigar tak kuchh apni aankh mein yan ka na aaya khazaf se le ke dekha dar-e-tar tak jise shab aag sa dekha sulagte use phir khak hi paya sahar tak tera munh chand sa dekha hai shayad ki anjum rahte hain har shab idhar tak jab aaya aah tab apne hi sar par gaya ye hath kab us ki kamar tak hum aawazon ko sair ab ki mubarak par-o-baal apne bhi aise the par tak khinchi kya kya kharabi zer-e-diwar wale aaya na wo tak ghar se dar tak gali tak teri laya tha hamein shauq kahan taqat ki ab phir jaen ghar tak yahi dard-e-judai hai jo is shab to aata hai jigar mizhgan-e-tar tak dikhai denge hum mayyat ke rangon agar rah jaenge jite sahar tak kahan phir shor shewan jab gaya 'mir' ye hangama hai is hi nauhagar tak