sarapa rehn-e-ishq-o-na-guzir-e-ulfat-e-hasti ibaadat barq ki karta hun aur afsos hasil ka ba-qadr-e-zarf hai saqi khumar-e-tishna-kaami bhi jo tu dariya-e-mai hai to main khamyaza hun sahil ka zi-bas khun-gashta-e-rashk-e-wafa tha wahm bismil ka churaya zakhm-ha-e-dil ne pani tegh-e-qatil ka nigah-e-chashm-e-hasid wam le ai zauq-e-khud-bini tamashai hun wahdat-khana-e-aina-e-dil ka sharar-fursat nigah saman-e-yak-alam charaghan hai ba-qadr-e-rang yan gardish mein hai paimana mahfil ka sarasar takhtan ko shash-jihat yak-arsa jaulan tha hua wamandgi se rah-rawan ki farq manzil ka mujhe rah-e-sukhan mein khauf-e-gum-rahi nahin ghaalib asa-e-khizr-e-sahra-e-sukhan hai khama be-dil ka