kahin par shadmani hai kahin par nauha-khwani hai jo sach puchho haqiqat mein yahi to zindagani hai jo suraj aasmani hai usi se zindagani hai wo jab tak ghair-fani hai to har shai jawedani hai jise tum ruh kahte ho use dil bhi to kahte hain wahi hai aatma sab ki azal se jawedani hai kisi se dushmani teri kisi se dosti teri kisi se be-rukhi hai to kisi se khush-bayani hai nahin hakim ko kuchh parwa ki hai mahkum kis gham mein hai haha-kar harsu har taraf chhai girani hai anokha hai tariqa waz ka tere bhi ai waiz kisi se tu hai aazurda kisi par mehrbani hai dar-e-mahbub se aaya hai khali nama-bar apna na hai tahrir hi mein kuchh na paigham-e-zabani hai yahan fani hai har ek shai fana sab ka muqaddar hai haqiqat mein usi ki zat 'kundan' jawedani hai