kisi mahaz pe wo bolne nahin deta zaruratan bhi zaban kholne nahin deta qafas mein ab bhi muhafiz kai parindon par nigah rakhta hai par tolne nahin deta wo jis ka haq hai use bhi to na-shanas-e-wafa mahal-saraon ke dar kholne nahin deta mera bhi pyar hai sadiq isi liye to kabhi kisi ko pyar mein sam gholne nahin deta wo chahta hai ki sahra-naward ban jaun makan-e-zehn ke dar kholne nahin deta hazar-ha guhar-e-ashk-e-gul ba-waqt-e-sahar chaman mein mausam-e-gul rolne nahin deta wo tark-e-ishq ki deta hai dhamkiyan mujh ko jo baat sach hai use bolne nahin deta hawa ne pairahan-e-baadban uda bhi diya ye na-khuda hai ki lab kholne nahin deta takhaiyyulat pe 'hairat' ke chha gaya aisa tasawwuraat ke dar kholne nahin deta