kahin pe khwab kahin khwab ka guman nikla yahan bhi aadmi aakhir ko be-nishan nikla sanam tarashe hain tu ne hi apni marzi se jabin-e-shauq tera hausla kahan nikla agar azab se nikle to ye bhi dekhenge zamin ke kaun se hisse se aasman nikla guzarti sham ke manzar pe raat hans ke to dekh mere lahu ka agar shoala-e-nihan nikla