kahin pe mantiq kahin dalael zarur honge rah-e-junun mein sawal hail zarur honge thakan ke aalam mein kaun bistar ko chhodta hai wo ja raha hai to kuchh masail zarur honge tum apni zid par date hue ho to phir yaqin hai tumhaare daman mein kuchh dalael zarur honge abhi to umr-e-rawan ki pahli bahaar mein hain abhi to khushbu ki or mail zarur honge tumhaara lahja tumhaare lafzon se mukhtalif hai tumhaare lahje se log ghayal zarur honge