kahin pe qais kahin kohkan miyan likkha tumhaare shauq ne kya kya kahan kahan likkha likha tumhin ne qafas ko maqam-e-agahi visal-e-dar ki shab subh ki azan likkha likha tumhin ne lahu se kamal-e-goyai tum hi ne khanjar-e-qatil ko hai zaban likkha likha tumhin ne meri chashm-e-nam ko qulzum-e-khwab tum hi ne us ke tasawwur ko baadban likkha tumhin ne mauj-e-tamanna ko sar-e-kashida kaha tum hi ne khwahish-e-sahil ko sargiran likkha tumhin to naqsh-e-kaf-e-pa-e-yar likhte rahe tum hi ne kucha-e-jaanan ko la-makan likkha likha tumhin ne hai sahra ko dagh-e-sina-e-ishq tum hi ne aabla-pai se kahkashan likkha likha tumhi ne meri bebasi ka sara hisab tumhi ne mujh ko shah-e-khusraw-e-zaman likha to ab tumhaare liye koi kya likhega 'rais' ki jis ne kuchh na kiya umr-e-raegan likkha