ki shab-e-hashr meri sham-e-jawani tum ne chhedi kis daur ki kis waqt kahani tum ne maani-o-lafz mein jo rabt hai main jaan gaya khole is tarah se asrar-e-maani tum ne meri aankhon hi mein the an-kahe pahlu us ke wo jo ek baat suni meri zabani tum ne meri tarikh ne daim tumhein baqi samjha rakkha har daur mein daim mujhe fani tum ne main to har dhup mein sayon ka raha hun juya mujh se likhwai sarabon ki kahani tum ne meri har baat mein sau aib the har aib mein shakh ye ghanimat hai meri qadr bhi jaani tum ne