kahin pe rizq kahin par hai ghar parindon ka hazaron mil hai lamba safar parindon ka kahin chatanon pe dali pe aur chhaton mein bhi kahan kahan nahin rahta hai ghar parindon ka suhani subh na hoti na hoti sham hasin wajud duniya mein hota na gar parindon ka ye jod lete hain tinkon se kis tarah tinke samajh saka na koi bhi hunar parindon ka likha hai jitna muqaddar mein rizq khate hain na jaane kyon hai kisanon ko dar parindon ka shikari tak mein baithe hain jal phailae idhar khuda na kare ho guzar parindon ka sukun-o-amn ho qaem jahan mein phir 'sahil' ai kash le le ab insan asar parindon ka