khul kar na sar-e-am ho izhaar bhale hi

khul kar na sar-e-am ho izhaar bhale hi
hai bughz karen hum se wo inkar bhale hi

bachchon ne to aapas mein nahin khelna chhoda
aangan mein uthai gai diwar bhale hi

phailaya na hathon ko kabhi aage kisi ke
har waqt masail se hun do-chaar bhale hi

masjid ki shahadat mein rahi ye bhi mulawwis
karti rahe inkar ye sarkar bhale hi

daulat hi jhuka pai na qanun hi us ko
faqon se mara hai wo qalamkar bhale hi

hai sachcha parastar wo urdu ka ai 'sahil'
hai ek risale ka kharidar bhale hi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close