kahin se chand kahin se qutub-numa nikla qadam jo ghar se nikala to rasta nikla jalaya dhup mein khud ko to ek saya sa hamare jism ki diwar se laga nikla tamam-umr bhatakta raha main tere liye tera wajud hi hasti ka muddaa nikla tumhaari aankhon mein sadiyon ki pyas dub gai hamari ruh se ehsas-e-karbala nikla gurez karne laga hai tere khayal se bhi hamara dil bhi teri tarah bewafa nikla mera hi nam kabhi 'mir' tha ghazal walo nae safar mein bhi mera hi naqsh-e-pa nikla charagh ghar mein jala chhod kar gae the 'shakil' safar se laute to sab kuchh bujha bujha nikla