hua na khatm azabon ka silsila ab tak khizan ki zad mein bhi ek phul hai hara ab tak mila tha zahr jo wirse mein pi rahe hain hum na us ne sulh ki sochi na main jhuka ab tak ye sach hai wahm ke daldal se laut aaya hun magar yaqin ka dhundla hai aaina ab tak inhi ghamon ka wo ek din hisab mangega falak se jo mere kashkol mein pada ab tak abhi abhi meri aankhon ne kho diya us ko wo dard ban ke meri siskiyon mein tha ab tak na jaane kitni bali di hai rat-jagon ki use magar mila na wo khwabon ka dewta ab tak juda hui thi jahan mil ke zindagi ek din bhatak rahi hai wahin meri aatma ab tak