kahin se nile kahin se kale pade hue hain hamare pairon mein kitne chhaale pade hue hain kahin to jhukna padega nan-e-jawin ki khatir na jaane kis ke kahan niwale pade hue hain wo khush-badan jis gali se guzra tha us gali mein hum aaj bhi apna dil sambhaale pade hue hain hamari khatir bhi fatiha ho barae-bakhshish hum aap-apne pe khak dale pade hue hain shahid hain hum hamein kabhi raftagan na samjho na jaane kab se ajal ko tale pade hue hain kaho to de den hum aaj tum ko hisab-e-masti ki hum ne jitne bhi jam uchhaale pade hue hain hamari aankhon mein jab se utra hai chand koi hamari aankhon ke gard haale pade hue hain abhi to hum ne ye zindagi us ke nam ki hai abhi to jaan ke kai izale pade hue hain yaqin nahin hai khud apne hone ka hum ko warna kai misalen kai hawale pade hue hain hamare kamre mein us ki yaaden nahin hain 'fazil' kahin kitaben kahin risale pade hue hain