kahin se tir jo aaya kaman se pahle parinda zakhmi hua hai udan se pahle jahan bhi ho wo guzar ke yahin se jaegi mera makan hai us ke makan se pahle khuda ke hukm se pahle nahin marunga main namaz hoti nahin hai azan se pahle mere makan ko ghurbat ne kar diya taqsim baramda tha yahan is dukan se pahle nigah milne na pai ki dil mein dard utha main kaamyab hua imtihan se pahle