kahin tirgi kahin raushni yahi is jahan ka nizam hai

kahin tirgi kahin raushni yahi is jahan ka nizam hai
ye to apna apna nasib hai kahin subh to kahin sham hai

ye mohabbaton ka jahan hai yahan lamha lamha hai imtihan
jo na ranj-o-gham se ho aashna use dur hi se salam hai

mujhe mai se koi gharaz nahin magar itni baat zarur hai
jo surur-e-ishq na de sake wo sharab pina haram hai

mere shahr hi ke wo log hain magar un se rahiyega ba-khabar
wo kisi ke kaam na aaenge unhen apne kaam se kaam hai

jise aap kahte hain lakhnau wo sukhnawaron ka hai gulsitan
mera nam 'prita' hai dosto mera lakhnau mein qayam hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close