har qadam par mere ek KHanjar-e-uryan nikla

har qadam par mere ek khanjar-e-uryan nikla
phir bhi main kucha-e-qatil se ghazal-khwan nikla

kar gai mujh pe wo eajaz teri ek nazar
jo bhi nikla mere nazdik se hairan nikla

meri fitrat mein thi pinhan wo bahaar-e-daim
main bahar-rang ba-shakl-e-gul-e-khandan nikla

wo badalta raha har baat ke itne pahlu
muddaa koi bhi hargiz na numayan nikla

aah is taur gulistan mein luti fasl-e-bahaar
chashm-e-giryan se meri khun-e-bahaaran nikla

jaane kis gham ne wo tahrik-e-masarrat bakhshi
dil-e-gham-gin se mere naghma-e-shadan nikla

haram-o-dair ki har qaid se mutlaq aazad
mujh sa kafir hi koi sahab-e-iman nikla

aap par ho chuka sau jaan se qurban lekin
aap par mitne ka is dil se na arman nikla

hausla ho to mera aur taaqub kar le
tujh se main tez qadam gardish-e-dauran nikla

ek hi jhonke ne gul kar diye sab ghar ke charagh
is qadar tund idhar se koi tufan nikla

sukhan-e-'raaz' ki di dad kisi ne aakhir
shukr hai bazm mein koi to sukhan-dan nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close