kahin tum apni qismat ka likha tabdil kar lete to shayad hum bhi apna rasta tabdil kar lete agar hum waqai kam-hausla hote mohabbat mein maraz badhne se pahle hi dawa tabdil kar lete tumhaare sath chalne par jo dil raazi nahin hota bahut pahle hum apna faisla tabdil kar lete tumhein in mausamon ki kya khabar milti agar hum bhi ghutan ke khauf se aab o hawa tabdil kar lete tumhaari tarah jine ka hunar aata to phir shayad makan apna wahi rakhte pata tabdil kar lete wahi kirdar hain taza kahani mein jo pahle bhi kabhi chehra kabhi apni qaba tabdil kar lete judai bhi na hoti zindagi bhi sahl ho jati jo hum ek dusre se masala tabdil kar lete hamesha ki tarah is bar bhi hum bol uthe warna gawahi dene wale waqia tabdil kar lete bahut dhundla gaya yaadon ki rim-jhim mein dil-e-sada wo mil jata to hum ye aaina tabdil kar lete